Aaj Baithi Tanha Poem by Silky Jain

Aaj Baithi Tanha

Aaj baithi tanha tab fir kalam uthaya...
Kya chal raha hai mann me is kore kagaz ko bataya...

Ye zindagi ne kaisa mod liya hai..
Khud ko khud se hi door kiya hai...

kya kya na karne ka socha tha maine..
kya karte hue khud ko paya hai...

is manzil ka rasta abhi bhi dhundhla hai...
ab aage na jane kya karne ka faisala hai...

In gumshuda raho pe na koi sathi hai na koi apna hai...
bas chali ja rahi hu jaise koi undekha sapna hai..

dil me chal raha ajeeb sa manzar hai...
kaise samjhu ye kaisa bawandar hai...

sun kar kuch purane nagmo ko...
mann kar raha hai apne lafzo ko bayan karne ko...

par kisse kahu ye samajh nahi ata hai...
darr hai ki kya koi mujhe samajh pata hai..

jis dost ko sab batati thi wo bhi kahi dor jake bas gaya hai...
waha khud wo kaisa hai..yaha mujhe tanha kar gaya hai...

ai khuda tu kyu aise rishte banwata hai...
jinse door rehna is kadar satata hai...

kaun apna kaun paraya hai..
is daur me koi samajh na paya hai...

ai ma tum mujhe apne pas wapas bula lo...
wo bachpan ke masti bhare din phir se yad dila do...

is sheher me kisi ko kisi ke liye waqt nai hai..
mano ya na mano aj ki hakikat yahi hai..

Kya wo beeta hua samay tha...
jab bhai behen aur dosto se hi apna jeevan tha...

aj wo sab jane kaha bichad gaye hai...
wo sath bitaye pal mann me kahi bas gaye hai...

bas ab yehi arma hai...
chali jau wapas jaha mera sunahra bachpan guzra hai..

jab jab khali baithi..tab tab ye socha hai...
kaha gaye wo din jinhe yad karke dil aj bhi rota hai...

Aaj baithi tanha tab phir kalam uthaya hai..
kya chal raha hai mann me is kore kagaz ko bataya hai...

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success