! ! A Journey To Nowhere! ! {hindi Poem} Poem by Menime Soul

! ! A Journey To Nowhere! ! {hindi Poem}

Rating: 3.3


Safar in dooriyon ka, na jaane kab rukega..
Andheri in galiyon mein, sawera tab ugega.
Socha na tha, waqt yun tez chal paregi kabhi..
Ki dard ke chalte bhi hamein muskurana parega.

Karne ki jo soche thein, sab yaadon mein bas gaye..
Nikle hain paane kuch, jab raastey hi kho gaye.
Ab toh jo bhi mile, hum unke hi ho liye..
Dhun apni naa sahi, par gungunana parega..
Ki dard ke chalte bhi hamein muskurana parega.

Naa hastey hain, naa rotein hain, ab to hum khushi se..
Par sach hai hum muskurate hain apni bebasi pe.
Kyun hai hum is tarah, ki naa keh paaye kisi se?
Bas apne hi aap mein chup rehna parega..
Ki dard ke chalte bhi hamein muskurana parega.

Dil mein jo tammanna hain, goom hone ko hai sabhi..
Zaahir karne par, dar hain phir naa kho du kise kahi..
Kuch kam hi magar, phir bhi kuch hai to sahi..
Yahi soch ab aagey badhna parega..
Ki dard ke chalte bhi hamein muskurana parega.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success