Two Short Poems By Gustavo Adolfo Bécquer In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

Ravi Kopra

Ravi Kopra

follow poet
Ravi Kopra
follow poet

Two Short Poems By Gustavo Adolfo Bécquer In Hindi/Urdu Translation

Darshan Karna

Agar main ek baar bhi tum ko dekh paya
to sari duniya tum ko apran kar dooN ga

Agar ek baar bhi tu mujh pe muskraee
to sara aasmaan tum ko de dooN ga

Agar ek baar bhi main ne tum ko chumi maari
to badlay main kya dooN ga, kuch samaj nahin...

Main sub kuch tum ko de dooN ga
chaand, sooraj, aasmaan

sara jahaN tum ko de dooN ga
sub kuch tum ko arpan kar dooN ga...

- -

Kavita Kya Hai

Kavita kya hai
apni neeli ankhoN se muje ghoor kar
dekhtay hue tum mujh ko kehti ho
Kavita kya hai
tum muj se poochti ho.

Kavita, tum meri kavita ho
Kavita, tum meri jaan ho

Thursday, November 1, 2018
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
Be the first one to comment on this poem!
Ravi Kopra

Ravi Kopra

follow poet
Ravi Kopra
follow poet
Close
Error Success