vishwas khansaly

vishwas khansaly Poems

Ek Sapne Ke Piche Bhaag Raha Hu Main,
Na Jane Yeh Sach Hoga Bhi Ya Nahi,
Phir Bhi Umeed Ka Man Me Deep Jalaye,
Chala Ja Rahi Hu Main,
...

The Best Poem Of vishwas khansaly

Mera Sapna

Ek Sapne Ke Piche Bhaag Raha Hu Main,
Na Jane Yeh Sach Hoga Bhi Ya Nahi,
Phir Bhi Umeed Ka Man Me Deep Jalaye,
Chala Ja Rahi Hu Main,
Ek Sapne Ke Piche.......................


Mera Yeh Sapna Sirf Sapna Nahi,
Meri Khwaish Hai Yeh, Hai Yeh Meri Tamanna,
Ya To Banega Mere Jivan Ka Sach,
Ya Rahegi Sirf Ek Kalpana,
Is Sapne Ko Na Jane Kitne Dino Se,
In Ankho Me Paal Raha Hu Main,
Ek Sapne Ke Piche............................

Andheri Rat Dekhi Hain Maine,
To Ujale Savere Ko Bhi Dekha Hain,
Jalte Diye Se Faili Roshni Dekhi Hain,
To Uske Tale Chipe Andhere Ko Bhi Dekha Hain,
Usi Roshni Ki Ek Kiran Ke Liye,
Andhero Mein Bhi Jaag Raha Hu Main,
Ek Sapne Ke Piche........................

Sapna Kya Hain,
Jo Chahu Use Pal Mein Hi Pa Lena,
Sari Duniya Ko In Hatheliyo Mein Bhar Lena,
Yakeen Hain Mujhe,
Apni Lagan Se Ise Zarur Sach Kar Dikhaunga,
Par Dar Hai,
Ki Is Matlabi Duniya Mein Na Kho Jau Kahin,
In Logo Ka Shikar Na Ho Jau Kahin,
In Jaisi Hi Na Ban Jau Kahin..................
In Jaisi Hi Na Ban Jau Kahin..................

vishwas khansaly Comments

vishwas khansaly Popularity

vishwas khansaly Popularity

Close
Error Success