Sarmad Mirza

Sarmad Mirza Poems

Deewana aadmi ko banati hain beevian,
Khood nachti hain sabko nachati hain beevian,
Shopping agar karao lubhati hain beevian,
Warna kabhi na munh se lagati hain beevian,
...

Dhoti pehen ke shehr mayn aata hay moulvi,
Kapde naye yahan pe silata hay moulvi,
Rangeen TV ghar mayn jo lata hay moulvi,
Beevi ko apni shehr bulata hay moulvi,
...

The Best Poem Of Sarmad Mirza

Beevinama (With Due Apology To Nazir Akbarabadi)

Deewana aadmi ko banati hain beevian,
Khood nachti hain sabko nachati hain beevian,
Shopping agar karao lubhati hain beevian,
Warna kabhi na munh se lagati hain beevian,
Har waqt ghar mein shor machati hain beevian,
Shohar pe apne hath uthati hain beevian.

Bachon ki fikr koi nahin ghoomen subh-o-sham,
Bachey khilaye sas kare ghar ka sara kam,
Sas aur susar ka yeh nahin karti hain ehteram,
Shohar susar aur sas pe rakhti hain phir bhi nam,
Ghaiz-o-ghazab khuda ka bulati hain beevian,
Shohar pe apne hath uthati hain beeveian.

Behoodi itni sas ko bakti hain galiyan,
Shauhar pe inke roab jamati hain saliyan,
Tan ki hain gori man ki magar sari kaliyan,
Hain nang-e-khandan yeh chakka uchaliyan,
Larne ko bap bhai bulati hain beevian,
Shohar pe apne hath uthati hain beevian.

Sarmad Mirza Comments

Akhtar Jawad 11 May 2014

A nice funny poem, I liked it.

0 0 Reply

Sarmad Mirza Popularity

Sarmad Mirza Popularity

Close
Error Success