Zindgi Part: 1 Poem by NEHA UPADHYAY

Zindgi Part: 1

Aati hai apni kismat par hansi,
Charon tarf hai gum na hai khushi.
Gum ko khushi samajhkar jee rahi hun,
Aansuon ke pyale har pal pee rahi hun.
Zindgi gumo ka shahar ban gayi,
Hansi dil ke liye jahar ban gayi.
Khali ho gayi zindgi us asman ki tarah,
Jisme taron ko bhi na mile jagah.
Ab bas khuda se ye duakarti hun,
Main jo yeh har pal marti hun.
Mera ye pal pal ka marna mit jaye,
Ya to de de khushiyan ya meri jan chali jaye.

COMMENTS OF THE POEM
Gulshan Mehra 30 April 2010

good one keep it up

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success