Zindagi Ki Tadap Poem by Shrini Deewana

Zindagi Ki Tadap



zindagi mein itni kabhi udhasi na thi,
Dil mera itni kabhi bhari na thi,
Yun to hum zinda hai sirf duniya ke liye,
Jeene ab is dil mein koi chahat hi nahin.

Pehele jo jhoomti thi dil mere mohabbat ke khushiyon se,
Ab mohabbat ke ghamon mein doob ke tanha baithi hai,
Kisko sunaoon mein haal-e-dil dilruba mere dil ki,
Koi na samjhega mere dil mein tadap kya hai.

Aaj bhi mein yaad karta hoon un beete lamhon ko,
Jo lamha bas tere hi saath guzara tha maine,
Beeta lamha mujhe bahut hi tadpati hai,
Yaad teri aa aa ke mujhe satati hai.

Yeh to khabar nahin kab mujhe yun jeena hoga,
Kab tak mujhe yunhi is dil ke tadap ko sehana hoga,
Kya aayegi kabhi phir laut kar woh beete lamhein,
Yaa maut ke aane tak mujhe yunhi tadapke jeena hoga.

Yeh to khabar nahin kab tak mujhe yun jeena hoga,
Kab tak mujhe yunhi is dil ke tadap ko sehana hoga,
Kya aayegi kabhi phir laut kar woh beete lamhein,
Yaa maut ke aane tak mujhe yunhi tadapke jeena hoga.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success