Zindagi Ka Raasta Poem by ainan ahmad

Zindagi Ka Raasta

ek raasta hai aisa bhi
jahan koi na hamsafar hai
rahi to sab sath hai
lekin mujhse sab bekhabar hai
koi jaanta ni hai
mai chhahta kya hun
nazre to sabki mujhpe hain
magar nazriya alag alag hain
ye kaisi pechidgi hai
lagte to sab apne se
bartav na hai apno sa
ek raastra hai aisa bhi
jahan koi na hamsafar hai
rahi to sab sath hai
lekin mujhse sab bekhabar hai

Sunday, November 15, 2015
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Souren Mondal 15 November 2015

'nazre to sabki mujhpe hain magar nazriya alag alag hain' Bohut hi khoobsurat shabd hai.. Dil ko chu gayi... Isse humare saath baat ne ke liye sukhriya..

0 0 Reply
Ainan Ahmad 15 November 2015

you welcome

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success