Zindagi...Its Life Poem by Harmeet Saluja

Zindagi...Its Life

Ae zindagi tu bata zindagi kya kiska naam hai,
Muskurate huye jeena ka ya pareshaniyo ka paigam hai...

Chale jaa rahe hai hum,
Na subah ki dhup na shaam ka pata hai,
Na dhalte suraj, na ubharte chand ka pata hai,
Bas khabar hai ki dhal rahi hai zindagi iss suraj ke saath,
Na jane kab aa jaye zindagi ki wo aakhri raat,
Na dikhta koi manzar, na dikhti koi manzil hai,
Na dikhati kaha kaise kis aur jaa rahi zindagi ki jeel hai...

Ae dost samj le zindagi hai kiska naam,
Jaan le kya hai iska kaam...

Muskurate huye suraj ka aagman karna,
Sache maan se apne saare kaam karna,
Apni pareshaniyo ko baahe khol kar apnana,
Aur jeel ke kinare ki tarah uska samana karna,
Dhalte suraj ke saath uske phir aane ki umeed rakhna,
Aadheri raat me bhi chand ki roshini dil ke paas rakhna,
Pyar aur dosti ke liye hi jeena,
Bas yeh hai zindagi ka pehla aur aakhri kona...

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Harmeet Saluja

Harmeet Saluja

Ahmedabad, Gujarat, India
Close
Error Success