Zindagi Chahat Ka Silsila Poem by Shrini Deewana

Zindagi Chahat Ka Silsila

Aaj ek ajeeb si hulchal chayee hai mere dil mein,
Ek taraf khushi ka alam hai to ek taraf gham ki parchayi hai,
Dil khush hai yeh sochkar ke Kal hogi baatein tujhse,
To aane wale dinon ke sochkar gham failati hai dil mein.

Ab tu hi bata ai sanam kaise samjhaoon mein apne is dil ko,
Yeh to jaanta hoon mein ke Kabhi khushi to kabhi gham yehi to zindagani hai,
Yeh baat to mera dil bhi achi tarah se jaanta hai lekin,
Woh kuch khoya hai tere pyaar mein is kadar ke,
Kisi baat ki samajh aati hi nahin hai use.

Jeevan ki bagiya mehaki hai meri jab se aayi ho tum mere jeevan mein,
Tum hi to ho baghbaan is bagiya ka jisne itne pyaar se mehakaya hai ise,
Har pal mere jeevan ke bagiye ko tum mehakaye rakhna,
Phool jo khile hai is dil mein sadiyon ke baad use tum murjhane na dena.

Mere suni si zindagi ko savarnewali mere dilruba,
Tujhse mein karta hoon bas yehi ek dua,
Duniya chahe rokna chahe kabhi raha tera,
Sada mere saath rehana sada mere saath rehana.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success