Zaat Badal Nahi Sakti Poem by mazHur Butt

Zaat Badal Nahi Sakti

Rating: 4.0


Taamba peetal ho gaye mehngay
mehga hua steel
gillet ki nath aur loang bhi mehngay
mehngi lohay ki keel
daam barhay tu kia hua
nasaban zalaeel razeel
suut (taut) patang latak jaati he
du jo ziada dheel
maal mein uske faiz nahi he
ho jo kameena bakheel.(a lurch)
dhaat ki zaat badal na sakay he
kamzaat huay kab aseel.(pure, genuine)
keemiyagar ka kamal tu dekho
choohay banay na feal(elephant)
gazz aur furlong ko dekho
khinch ke na hongay meel(mile)
Ooper waalay ka ye karam he
Sonay (gold) kee na badli qabeel.(ba-maani zaat, nature, status)
Zaat badal nahi sakti yaro
moar(peacock) mahaan haych(lowly) he teal(a kind of duck) !

COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 23 August 2016

bahuth dhiya khayal aur be had umda kalam...

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success