Yu Hii Na Sham Ho Jaye, Poem by Aftab Alam

Yu Hii Na Sham Ho Jaye,

Rating: 5.0


Tere dil ki ye chahat hai,
dhadkan main banu tere,
ek qadam aage bhi to bad
thaam le haanth tu meraa,

qafile saanso ke har pal,
badhte jaate hain ye kal-kal,
jaise nadiya ye behti hai,
shayad hamse kuchh kehti hai,
jaraa inki bhi to ab sun,
dilon me dhundh saveraa,

chahat kaise machalti hai,
hawaayen kyon ye behti hain,
andheraa kyon hai ankhon me,
saja le khwaab ankhon me,
parindon ki chahak dekho,
ye saara aasmaan meraa,

yu hii na sham ho jaye,
hamara ghar na kho jaaye,
raat ki ragni lelo,
chand ki chandni lelo,
jaraa dhundho yahin hai wo,
yahin ul; fat kahai dera,

Tere dil ki ye chahat hai,
dhadkan main banu tere,
ek qadam aage bhi to bad
thaam le haanth tu meraa,

Friday, July 11, 2014
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success