Yeh Meri Betian Poem by Akhtar Jawad

Yeh Meri Betian

Rating: 5.0

Salam un betion pe meri jo jan dene pe aa gayee hayn
Lohu mein apne naha ke dekho bahisht mein muskura rahee hayn.
Unhin mein hay ek Sahar pur Afshan, bahisht mein bhi jo hay ghazal khawan,
Azeem beti yeh bap tera nahin kahe ga kahan hay Afshan,
Yeh chal rahi hay wuh phir rahi hay yeh aa rahi hay wuh ja rahi hay,
Nazar uthao Wuh hoor banker bahisht mein muskura rahi hay,
Shaheede awal ke dat gayee jo lohu se roshan chiragh kar ke,
Wuh so gayee thee abhi uthi hay bahisht ko bagh bagh kar ke,
Salam karta hay ek shair azeematon ko Sahar tumhari,
Yeh hath lambe jo hote mere utar leta nazar tumhari!

Sunday, December 21, 2014
Topic(s) of this poem: sacrifice
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
She was the first to sacrifice her life at Army Public School, Peshawar
COMMENTS OF THE POEM
Abhilasha Bhatt 14 February 2016

Beautiful poem.....zindagi to wo h roshan Jo bujhne se bachaye zindagi kisi ki.....I loved it....thank you for sharing sir :)

0 0 Reply
Yasmin Khan 24 December 2014

Be hadd khoobsoort khraj e tehseen pesh kia aapne!

1 0 Reply
Khalid Saifullah 21 December 2014

A great poem................10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success