Ye Kisne Di Aawaj Hame (Hindi) Poem by Anish Chouhan

Ye Kisne Di Aawaj Hame (Hindi)

Rating: 4.0

Ye kisne di ek aavaj hume,
Ya koi goonj si suni di ho,
Unke hone me vo meetha ehsaas hai,
Jaise koyal ki kook suni di ho,
Achanak usne dhyan moh liya hamara,
Fir laga jaise apne hi dil ki awaj sunai di ho,

Suraj ki us dheemi si raushani ne jab,
Di savera hone ki ek raahat,
Sarsarati hui thand havao ne,
Maano bheji ho pyar bhari vo chahat,
Dilchasp thi vo din ki shuruvat,
Kawat lete hi jisme unke aane ki aahat sunai di ho,

Patton pe thi komal oos ki jo bunde,
Keheti hai jiwan me vo aas nai bhar lo,
Unse milne ki jo chaht hai harpal,
Uspe intezaar ka kambal jara odh lo,
Khilte hue bhi unki bekarari ka alam hai dikhata,
Phulon ki muskan me jaise unki bekasi sunai di ho,

Raat me chand se bhi hoti hai baaten,
Poochate hai unke bin ye do pal kaise kaaten,
Chandani fir kilkila ke hasti hai hum par,
Ye jo dil ki hai vyatha vo kis se baate,
Socha kabhi kar le unse se hi ye sawal,
Bhare aangan me jab unki fariyaad sunai di ho.

Unke kajal pe to hum aaj bhi hai marte,
Bus iska jikra hum jara kam hi hai karte,
Julfe bikhre to cha jaati hai kaali badri,
Chatri khole barish ka intezar hai karte,
Labon pe unke hai kuch naye se bol,
Unke hilne se jaise koi dhun nai sunai di ho.

Palko ne kiya tha ek ishara,
Jisne kiya tha pyaar ka ek vaada,
Saason ki narmi ne hame unke rang me dhala,
Jiss se laga unke bin hai ye jiwan aadha,
Tann aur mann me vo ab kuch iss tarah samai hai,
Harpal me jaise ab unki chudiyon ki khanak sunai di ho.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success