Wuh Kal Keya Thi Wuh Aaj Hay Keya Aa Dekh Le In Tasveeron Mein Poem by Akhtar Jawad

Wuh Kal Keya Thi Wuh Aaj Hay Keya Aa Dekh Le In Tasveeron Mein

Rating: 5.0

Wuh kal keya thi wuh aaj hay keya aa dekh le in tasveeron mein,
Wuh to azal se likhkhi thi in khamosh lakeeron mein,
Na sone mein na chandi mein na moti mein na heeron mein,
Dekho isko kaise bandhi hay is dil ki zanjeeron mein.

Yeh sooraj jab bhi nikalta hay dhaki chupi wuh rahti hay,
Rat mein kitne jatan ke bad dheere dheere khulti hay,
Bas mere liye wuh roti hay bas mere liye wuh hansti hay,
Han main usper marta hoon han mere liye wuh jeei hay.

Tum keya jano keya cheez hay yeh, wuh poorab desh ki usha hay,
Wuh dhoop mein thandi chaya hay wuh sunderta ki kaya hay,
Ab tumse kahoon keya main jag walo keya keya usmein samaya hay,
Keya keya maine dekha keya keya maine pay hay!

Friday, August 28, 2015
Topic(s) of this poem: woman
COMMENTS OF THE POEM
Ajay Kumar Adarsh 22 August 2016

jo paya hai wo apna hai, jo chhuta jhutha sapna hai....... awesome gazal.....specially these lines are very very interesting Na sone mein na chandi mein na moti mein na heeron mein, Dekho isko kaise bandhi hay is dil ki zanjeeron mein.

0 0 Reply
M Asim Nehal 21 September 2015

Jo dekh liya woh apna hai...Jo na dekha woh sapna hai.........Wonderful Ghazal Janab.

0 0 Reply
Khalid Saifullah 28 August 2015

What a loving description of a beloved.................................10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success