Wo Anaja Chera Aaj Bhi Mere Khabaomein Aata Hai Poem by VaRuN JaIn

Wo Anaja Chera Aaj Bhi Mere Khabaomein Aata Hai

Rating: 5.0

wo anaja chera aaj bhi mere khabao mein aata hai
uski judai ke daar se jane mera dil yu ghabrata hai
janta hu na mein usko na mila hu mein usse kabhi
phir bhi wo mujhko kyun nahi lagti hai ajnabi
kaun ho tum kya rishta hai humara
kabhi tumne bataya bhi nahi kya naam hai tumhara
mujhe meri tanhai mein itna kyun tum satati ho
mein hasna chata hu kyun mujhe tum rulati ho
kabhi ek baar ek mujhe apni ek jhalak to dikhla do
mujhe iss bechaini ki koi wajha bata do
ye meri kalpana nahi hai tum chupi ho kahi ye mujhe hai yakeen
kabhi meeti si yaadein de jati ho kabhi ho jati ho namkeen
tumhare saath mein duniya se bhaag jaoonga
haath mein haath hoga labo pe geet gunguanoonga
uss falak se leker iss zami tak humara saath bana rahega
agar tum nahi mili to mujhe pagal zamana kahega
jaane kab wo din aayega mein isss intzaar mein rehta hu
mlegi mujhse tum kabhi kud se mein kehta rehta hu

COMMENTS OF THE POEM
Suvrishti Jain 26 February 2009

oye, , , tumne yeh kavita likh kaise di: o, , , lol, , , , totally opp of wat u think haan, , , neways, , , , beautiful depiction bout ur dream, , , keepin writing ;)

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success