Waqt Se Bach Kar Poem by Aftab Alam

Waqt Se Bach Kar

Rating: 5.0

waqt ke shakh par baitha parinda
taqdeer ke ghat par johta darida
ek dusre ko shikast dene ki firaq men
ek udan bhul gaya, dusra shan bhul gaya

mehnat ke talab ko pasine se bharta
ek kisan, asman ko tak raha hai

Abhi badal chand me chhup kar
Suraj ke chhupne ki raj
Janne ke liye betab hai

Jindagi, waqt ka muhtaj hai
Bandagi, jindagi ki talwe shla rahi hai
Goya josh badha rahi hai

Dar hai shakh par ulloo na a jaye
Jara waqt thahar jaye
Waqt se bach kar akhir
Kaho ham ab kidhar jayen

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success