Waqt Ki Aah Poem by Ahatisham Alam

Waqt Ki Aah

Waqt ki aah
Zindgi ki raah
Me khar bane
Ki manzil pe chala na jaye.

Shams ki dhoop
Roshni ke roop
Me angaar bane
Ki gul-e-zindgi ko jala na jaye.

Mareez ki saans
Maut ki aas
Me talwaar bane
Ki marz se fir tala na jaye.

Mausiqi ki saaz
Nazm ke raaz
Me gulzar bane
Ki sunte huye raahi se hila na jaye.


from: GULZAR-E-WAQT
By Ahatisham Alam

Tuesday, October 28, 2014
Topic(s) of this poem: art
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success