Vo Din Bhi Kya Khushnasib Tha. Poem by Anish Chouhan

Vo Din Bhi Kya Khushnasib Tha.

Rating: 5.0

Vo din bhi kya khushnasib tha,
Vo jab hum jud gaye,
Aankhon me jo kali thi band,
vo phul banke khil gaye,

Dilon me sapne hazaar jo,
Dekhe jo kabhi the humne,
Poore ho gaye saakar vo,
Jab tumko vo haan kaha sabne,

Pyaar to tha dil me,
Paar ruswai se darte the,
Dil me basi vo baat se,
Jo kehene se darte the,

Tumne bin bole he,
Un lafzoon ko samajh liya,
Na keh paata jo dil he,
Ekpal me tumne padh diya,

Vo din bhi kya khushnasib tha,
Vo jab hum mil gaye,
Hoton pe jo naam tha kahin,
haaton me mehendi banke likh gaye,

Ungliyon me fir hamare kalam ka,
aana acha lagne laga,
Betahan unke liye fir,
Dil na jaane kun likhne laga.

Bada kar diya tha waqt ne,
waqt se pehele hi unko,
Fir bhi kahin vo jhijak,
Aur vo apno ki fikra ne sataya unko,

Sir pe vo ek jimmedari ka,
hausla sa kahin ban raha tha,
Kisike ke saath jindagi ka,
Kafila jaise ban gaya tha,

Vo din bhi kya khushnasib tha,
vo jab hum mil gaye,
Jo bani thi vo mere liye,
Vo kuch iss tarah humse mil gaye,

Jise ek jhalak dekhne ko,
sapno se fariyaad karte the,
Vo chehera tha ab saamne,
Jiske liye mandiro me bhatka karte the,

Jiske ek khushi ke khatir,
Kuch bhi kar jaane ko dil kare,
Vo chahat thi hamari,
Jise gangajal roopi fir piya kare,

Dil me bus ek zid thi kahin,
Jise poora karne ko lad gaye,
Paa liya hai tumko jo yahin,
Ab jindagi me khushiyan jaise bhar gaye.

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
09.01.13 (Finalization anniversary)
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success