Vaishali Poem by ramesh rai

Vaishali

Ur ke sapt suro se nikli
Vijay prem ki amar gatha
Jiske veena se jhankrit huyee
Gantanra ki nayee abhilasha

Dhanya hai wah bhoomi
Pade ahimsha ke pratham pag
Vilin huye talwaro ki jhankar
Vaishali ki nupur dhwani mein

Gantanra aur ahimsha ki pratidhwani se
Vijay gaan lahraya kan kanmein
Ab manav me prarambh kiya
Manavta ka ek naya addhyay

Prem ka veez prasphutit hua
Naye roop mein saj sanwarkar
Mili nayee chetna use
Amrapali ke prangan me akar

Hai naman sat sat us bhoomi ko
Buddha jahan prabuddha huye
Sanghshiromani be sweekar kiya
Amrapali ke nivedan ko

Gujare Maine terah barsh
Tere mamta ki chhaon mein
De ashish karu prasthan main
Baki kartavyo ke puran hetu

Aye vaishali ki pavan bhoomi
Sweekar karo mera koti koti naman

Tuesday, December 29, 2015
Topic(s) of this poem: patriotic
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Mahavira was born in Vaishali. Gautama Buddha delivered his last sermon at Vaishali and announced his Parinirvana there. Vaishali is also renowned as the home of Amrapali, a great courtesan who appears in many folktales as well as in Buddhist literature. Amrapali became a disciple of Gautama Buddha.
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success