Umrah (A Pilgrimage Next To Hajj) Poem by Akhtar Jawad

Umrah (A Pilgrimage Next To Hajj)

Rating: 5.0

Tawaf karte hue mujhko mera yar dikha,
Mujhe to jobhi dikha uska qarzdar dikha.
Main samjha tha nahin dunya mein mujhsa aasi koi,
Magar wuhan to har ek shakhs ashkbar dikha,
Sai mein dekha to humsai o humsafar tha wuhi,
Wuh ek bar nahin mujhko bar bar dikha,
Main samjha tha nahin dunya mein ab bache aashiq,
Magar wuhan to har ek qalb zar zar dikha,
Jo qasr keliye aaya to sharm aai mujhe,
Magar wuhan to harek chehra sharmsar dikha,
Jo kooey ishq main aaya to wuh wuhan bhi tha,
Yeh raz jan liya jab wuh razdar dikha,
Main usko chor ke aate huey bahut roya,
Jo ghar mein pahuncha to wuh mahve intizar dikha,
Wuh ghar mein ab mere rahta hay aur bahut khush hay,
Tawaf o sai ka sila itna shandar dikha!
Wuh parahan ke jo rangeen tha khoone insan se,
Wuhan geya to wuhi mujhko tar tar dikha,
Kafan pahen ke geya aur usko le aaya,
Isi kafan mein khuda mujhko aar par dikha.

Friday, September 4, 2015
Topic(s) of this poem: change
COMMENTS OF THE POEM
Muzahidul Reza 09 March 2018

Yes, Umrah is next to Hajj, you have greatly penned it here, thanks for sharing the poem with us,10

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 04 September 2015

An unique and different poem on Umrah.........................10

0 0 Reply
Kumarmani Mahakul 04 September 2015

A marvellous poem nicely drafted. Amusing and interesting. Thanks for sharing. .....10

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success