Tumahara Jana Poem by ANJALI KAKATI

Tumahara Jana

Tumahara jana
Aachanak pushpo ki kaliyo se
Unke mahak ka ud jana.
Kal tak jo khila khila tha
Pal main
murjha kar mar jana.

Tumahara jana
Chand lamho main indradhanush ke
Rango ka ris kar bah jana.
Barso tak jo aabad sahar tha
Uuska chand minto mein
viran uujad ho jana

Tumahara jana
Aachanak chanchal hava ke
Rukh ka tufan mein badal jana.
Kal tak jo balwan khada tha
Uuska tut kar bikhar jana.

Tumhara jana
Saapno ki uudano se sakth dharatal par
Ghayal gir jana
Kisi sawachand muskan ka
Siskiyo mein bifar jana
Tumhara jaana.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success