Tum Sa Hasin (Hindi) Poem by Anish Chouhan

Tum Sa Hasin (Hindi)

Rating: 4.0

Aaj kal tum kuch jyada hi hasin lagti ho,
Dil se jo apni baaten keh deti ho,
Aankhon se vo aasun banke bhale behete rahe,
Par chehere pe haskar khushi ke taar bunti ho,

Phoolon hi mehek bhale man moh leti ho,
Apne achal ke tare humpar phaila aati ho,
Taron ki tulna se koi pare jo ho,
Kuch iss tarah jhalak dikhla jati ho,

Chidiya ki boli me kuch jo kehelati ho,
Kabhi dheme se barsat me hume bhigati ho,
Hame khush kar, khud me vo sukh pati ho,
Jiwan ki nayiya tumhi paar karati ho,

Saath rahkar mano ek saye si banjati ho,
Fir kabhi natkhat si beti ban harshati ho,
Kabhi fir khud hi khud me raha jati ho,
Kabhi hame pyar ke sagar me duba lati ho,

Mere liye to jaise maa ki mamta tumhi ho,
Jab tum maathe pe haat komal sehelati ho,
Ek dost ki kami ko pura karati ho,
Haato me leke haath jag dikhla jati ho,

Ladti ho to phir pyar chalkati ho,
Manati ho to aankhen nam kar jati ho,
Narajgi me bhi man bhavani lagti ho,
Jab maun karke fir khud ko saja deti ho,

Adbhut si tum, adbhut si tumhari kaya,
Sabko sambhale jo bus jiye jati ho,
Tum chaho to pathar ko mom kar sakti ho,
Kunki Aaj kal tum kuch jyada hi hasin lagti ho.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success