Tum Ho Meri Roshni Poem by abhilasha bhatt

Tum Ho Meri Roshni

Rating: 5.0

Andhere se bhare us kamre m
Jahan ka har kona roshni se mehroom tha
Na pata tha jahan subha k ane ka raat k hone ka
Dino k ane ka shamon k beetne ka
Gum si thi zindagi andheron m pasri hui
Sannaton se ghiri hui
Na kisi k hone ka ehsas tha
Na kisi ki maujoodgi k khwahishat maujood they
Bus sann sa sannata tha
Andheron k hum they
Andhera hamara tha
Sannaton k hum they
Maun hamara tha
Magar ek roz Kuch yun hua
Jiski umeed na Maine ki na mere kamre ne
Un tooti hui dararon ne darwaze ki bhi samajh se bahar tha
Pehli bar ati hui us toote hue dararon se mukammal darwaze se
Najane kis k kehne par ai
Na jane kisne pata dia mere is viran ghr ka
Wo sunheri sone se bhi zyada kain had se zyada chamakdar roshni
Mere andhere se bhari
Sunsaniyat k misal wale mere kamre par padi
Tb laga mano khuda zamin par agye hon jaise
Main yahan se wahan bhagta raha
Apni tooti hui dhool se sani hui lakdi ki kursi ko saaf krne laga
Pehli bar Jo Koi aya tha mere biyaban se ghr m
Mere ghr ko jisne roshan kia apne ane se
Ye dhudh si ujli hui hansi hoti h Kya khuda ki
Meethi si awaz mano saat suron main ek sur aur joda gya h aur ek beinteha khoobsurat nazm ho jaise
Magar sochta hoon ki kaise puchon tumse ki kisne dia tumhe mera pata
Aur jisne dia use Kya pata tha mera pata
Kya aj bhi janti hai is shayar ko ye duniya
Apne sawalon ki udhed bund main tha
Tumhari unhi sath suron m ek aur ko aur jodti awaj kan m padi mere
To tum mureed ho meri
Magar tum meri mureed Nhi meri shayari ki ho
Jo main barson pehle bhool chuka hoon likhna
Magar tumse milkar Ab lagta hai ki phirse roshan apna ye ghr kar daloon apni shayari phir se shuru krdalun
Magar Ab sirf Tum meri nazm rahogi
Meri ghazal banogi
Mere har lafz main bus main tumhe likhunga
Tumhe hi padunga
Tumhe zindagi kaha h
Tumhe zindagi kahunga
Tumse phir zindagi Jo mili h mujhe
To tumhe zindagi kahoonga
Roshni kahunga
Tumhare naam ek janwida nazm likhunga
Tumhe hi Ab padunga tumhe hi ab likhunga
Isi khwab main isi baat main arsa guzar gya h kitna
Tere jane k bad bhi maine
Pehle ki trh andhera nhi kia
Na sannata h ghr main mere tere
Roz usi trh usi darwaze se roshni ati h Jb tum pehli bar ayi thi hath m apne safed gulab k phool lekar
Roz tumhari awaz main sunta hoon Jo kaid krli thi maine kbhi kbhi tumhare die is takniki tauhfe main
Log kehte gain tum chali gain
Jahan se Koi lauta nhi
Ab laut k na aogi
Magar tum to sang ho mere
tumhara ehsas tumhari khooshboo main mai tumhe jita hua pata hoon usi main jeeta hoon tumme hi jeeta hoon tumhe hi jeeta hoon
To kaun keh sakta hai Ab tum Ab nhi
Tum ho tum hi to ho
Har kone m mere ghr k
Meri ruh m
Meri ghazal m meri nazm m
Wada Jo Kia h tumse likhte rehne ka
Nibhaunga main
Nibha raha hoon main
Akhri nazm likh raha hoon tumhe
Duniya se rukhsat hote hue
Sabko alvida kehte hue

Friday, November 27, 2015
Topic(s) of this poem: love and life
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 05 January 2017

The poem is steeped in mysticism and reminds me of the writings of many Sufi saints and of Khalil Gibran. The narrative is Quite thought provoking. In a way, it describes the yearning of man for the divine bliss in life. Thanks for sharing, Abhilasha ji. Mere ghr ko jisne roshan kia apne ane se Ye dhudh si ujli hui hansi hoti h Kya khuda ki ek beinteha khoobsurat nazm ho jaise

0 0 Reply
Akhtar Jawad 29 January 2016

When love came suddenly as beams of light, the dark room of heart sometimes became a sun, sometimes it became a moon, I became restless as a sea in tide, life and death got a meaning, life my beloved and death my bride, what a magic love? at the moment my beloved is into my arms, but I am fully prepared for my bride's charms, I assure you my bride after I kiss you, I shall smile with peace, an immortal smile, but as long as my beloved is with me, I am now moderate, no more a sun so bright, no more a moon for the tides, In love I am twinkling like a star, the journey that started at dusk, making me an evening star, I know will end at the dawn, I shall end my journey as a morning star.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success