Teri Muskurahat Poem by Shrini Deewana

Teri Muskurahat



Jis hansi ko dekhne tadapta hai yeh 'Deewana'
Aaj us chehare par chayee itna maayoosi kyon hai,
Hansi hi tere chehare ki khoobi hai sanam,
Hansi ko kabhi chehare se utarne na dena.

Kitni bhi mushkilein aaye raahon mein phir bhi,
Bas muskurakar hamesha tu unka saamna karna,
Tere har kadam pe tera saath hai yeh 'Deewana'
Yeh baat kabhi na bhulna aur bas haste rehana.

Likhte to the hum pehale bhi magar ai mere sanam,
Lekh mein mohabbat chalakne lagi hai aap ke aane ke baad,
Tere khushi ke liye kar dega kuch bhi kurbaan tera “Deewana”,
Sada muskurate rehana aur muskurahat ko dhalne na dena.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success