Teri Hansi Poem by Shrini Deewana

Teri Hansi



Tere ek hansi pe sanam hum ek nahin sau jeevan kurbaan karenge,
Ek baar keha kar dekh lo jaan hatheli pe rakhkar tere kadmon mein nichavar kar denge,
Tere ek aahat sun ne ko tarasta rehata hai yeh dil,
Tere garam saanson ko mehasoos karne tadapta rehata hai yeh dil.

Na jaane kab mitegi yeh doori ho hai darmiyaan hamari,
Kab hogi woh saari muraad puri jo jagi hai dil mein hamari,
Agar is doori ko mitana mere bas mein hota to kab ka mita diya hota,
Hamari dil ki tadap aur tan ki pyaas ko kab ka mita diya hota.

Dil to karta hai sanam ud ke aajaoon aur tujhe apne bahon mein bhar loon,
Jo pyaas jagi hai dono dil mein us pyaas ko ek hi raaat mein puri kar doon,
Par majboor hoon mein kyon ki doori bahut hai hum dono mein,
Khuda ne humdono ko milaya to hai par pankh nahin di hai mujhe tujhse milne.

Par umeed hai dil mein ke ek din mein tujhe apne saamne hi paoonga,
Bharke tujhe apne baahon mein har faasle mein mita doonga,
Us din mein tere chehare ki pyaari sukoon ki hansi dekhoonga,
Dekh kar tere chehare ki hansi ko mein chain se so jaoonga.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success