Tere Bin Ham Adhoore Hein Poem by Jahan Zeb

Tere Bin Ham Adhoore Hein

Rating: 4.5


TTere Bin Ham Adhoore Hein

Tumhari yaad ko le kar
Purani jheel par aa kar
Nami ankhon main hay laiken,
Labo par muskurahat hay,
Kinarey par jo lehrein hein
Har ek main teri aahat hay,
Osi peepal k saaye mein
Pakar kar haath main kaghaz
Tumhare naam k aagay
Main apna naam lekhta hun

Kabhi yun be khayali main
Hatheli saamney rakh kar
Hatheeli ki lakheeron main
Tumhi ko dhoondta hun mein
Mere masoom hathoon ki
Lakhheron main lakheer ek hay
Jo thora door jakar pher
Achanak toot jati hay
Ke jaisey root jati hay
Addori yun to lagti hein
Lakheerein mere haatho ki
Magar sun ay mere hamdam
K tum bin kuch nahin badla
Na ye manzer na ye shamein
Wahi peepal ka saya hay
Wahi hein jheel ki lehrein
Osi tarha se aati hein
Hawayein jheel ki jaanib
Wahi pholo k podey hein
Jo kuch badla to badla hay
Tera ye chahney wala
Suno bas tum se kehna hay
Tumahare baad ay hamdam
Adhoori khwahishen meri
Adhoore khwab hein mere
Mere sapne adhoore hein
Suno tum sun rahi ho to

Tere bin ham adhoore hein

COMMENTS OF THE POEM
Shahzia Batool 23 January 2013

a complete poem! ! ! ! ! !

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Jahan Zeb

Jahan Zeb

Malakand Pakistan
Close
Error Success