Tera Saaya Mein Ban Na Chahoon Poem by Shrini Deewana

Tera Saaya Mein Ban Na Chahoon

Agar tum ho aankhein to tumahari palkein mein ban na chahoon,
Koi aafat tum par aane se pehele us aafat par mein mit jana chahoo,
Kabhi aansoon ka ek katra bhi tere aankhon se na aaye,
Tere aankhon mein aansoon aane se pehele tere honthon ki muskaan mein ban na chahoon.

Koi bhi kaanta rahon ka tere kadmon ko na chube,
Koi kaanta tere kadmon ko chubne se pehele,
Tere kadmon ko apne haathon mein mein thaam lena chahoon.

Kabhi koi gham na aaye tere jeevan mein,
Khuda se mein yehi ek dua har din mangoon,
Agar koi gham aa jaaye tere jeevan mein kabhi to,
Khushi banke tere jeevan mein mein aa jaana chahoon.

Musafir nahin mein sanam tere jeevan mein,
Sanam mein hoon tera apna hi saaya,
Sada tera saaya hi banke ai jaanam,
Teri hifaazat mein karma chahoon.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success