Tera Saath Mil Jaaye Poem by Shrini Deewana

Tera Saath Mil Jaaye

Sochta hoon ek ghar basa loon ai sanam mein chaand mein,
Jahan par honge sirf mein aur tum aur koi na honge humein taakne,
Socho zara kaisa hoga woh alam jab rahenge hum ek duje ke baahon mein,
Kaisa hoga sanam woh alam jahan honge na koi dushman pyaar ke.

Duniya ke liye to aati hai mahine mein ek din amavas ki raat bhi,
Lekin sanam hamare jeevan mein phir kabhi amavas ki raat hi na aayegi,
Har raat apne hogi punam ki jab humtum madhosh ho jayenge,
Bas ek duje ke baahon mein lete hum prem ke geet gun gunayenge.


Na zarurat hai humein holi ki na zarurat hai humein diwali ki,
Bas agar zarurat hai kisi ki to woh hai ek duje ke saath ki,
Jab tum rahoge saath mere har din hogi mere holi aur diwali ki,
Bas sanam tera saath jo mile to mein samjhoonga meri kismat khil gayee.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success