Tera Saath Chahiye Poem by Shrini Deewana

Tera Saath Chahiye

Jeevan mein chayee hai ab mere kaale baadal gham ki,
Aise gham ke samay mein sanam saath chahiye mere humdum ki,
Gham ke andheron mein saathi saath chalo roshni bankar,
Har gham ko hum seha lenge saath rahogi jab tum mere.

Sukh dukh to do pehalu hai har insaan ke jeevan ke,
Apne saare sukh de doonga mein tujhko ai saathi,
Dukh mein chahata hoon mein sahara tere kandhon ki,
Aankhon se jab aansoo mere nikale chahiye sparsh mujhe tere haathon ki.

Raha bhatka raahi hoon mein sanam rehana tum bankar mera saaya,
Gham bhare aise dinon mein saathi tum hi ho mere jeevan ki kaya,
Tere bina jeevan jeene ki mein kabhi soch bhi nahin paya,
Jab se aayee ho tum mere jeevan mein jeevan ban gayee maya.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success