Tarunaee Poem by ramesh rai

Tarunaee

NAVYUG KO PAHCHAANO
PAHCHAANO AANE WALE KAL KO
PAHCHAANO US YAUVAN KO
JISKI TUM TARUNAEE HO
PAHCHAANO AANE WALE VIPDAON KO
PAHCHANO MANAV KE VAVISHYA KO
PAHCHANO US DIK DIKANTA KO
LALKAR RAHA HAI AAJ TUMHE
MAANAV KI BITI KAHANI
CHAHE KITNA BHI BHISHAN HO
USKI YEH AMAR KAHANI
PHIR BHI WAH BAJUON SE
KARTA HAI VINAASH USKA
JO VIPADA HAI AAN PADI
MANAV JATI KE VINASH KA
MANUSHYA TO SWAWLAMBI THAHRA
NAHI CHAHIYE USE
KISI KI BHI SAHAYATA
WAH HAR DAM JUJHTA HI RAHEGA
APNE HI VARTMAAN SE
BHAVISHYA TO AAYEGA
SAR JHUKA KAR
PHIR USE VARTMAAN MEIN JEENA HAI
KUCHH BHI N HUA TO
WAH BITA HUA KAL BAN JAYEGA
CHAHE JAISA BHI HO
WAH EK DIN AAYEGA

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success