Tanqeed Nigaron Se - An Urdu Nazm Poem by Vikas Sharma

Tanqeed Nigaron Se - An Urdu Nazm

Rating: 5.0

Kya shikayat karoon un logon ki
Jo do harfi kitab samajh baithey mujhey
Kya kahoon un tanqeed nigaron se
Jo samjhey ik chalta firta ishetehaar mujhey

Na samjho mujhey koi akhbar ya risala
Jo aaj parhoge kal bhool jaoge mujhey
Ghalib ke diwan ke maanind hoon main
Ik umr bhi kam hai samajhney ko mujhey

Ghazal hoon main nau bait ki
Zara matle se maqte tak to lao tum mujhey
Kavita hoon main nau ras ki
Sabr se lo swaad har ras ka, jubaan par lao tum mujhey

Qaazi ban kar faisla mujh par sunane se pehle
Zirh to karwao kathgharey mein to lao mujhey

क्या शिकायत करूँ उन लोगों की
जो दो हर्फी किताब समझ बैठे मुझे
क्या कहूं उन तनक़ीद निगारों से
जो समझे चलता फिरता इश्तेहार मुझे
न समझो मुझे कोई अख़बार या रिसाला
जो आज पढ़ोगे कल भूल जाओगे मुझे
ग़ालिब के दीवान के मानिंद हूँ मैं
इक उम्र भी कम है समझने को मुझे
ग़ज़ल हूँ मैं नौ बैत की
ज़रा मतले से मकते तक तो लाओ तुम मुझे
कविता हूँ मैं नौ रस की
सब्र से लो स्वाद हर रस का, जुबान पर लाओ तुम मुझे
काजी बन कर फैसला मुझ पर सुनाने से पहले
जिरह तो करवाओ कठघरे में तो लाओ मुझे..............

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success