Tanhai Poem by Always Aparna

Tanhai

Zindagi Tanhaiyon Ko
Dhoondti Hai
Ya Tanhai
Zindagi Ko

Zindagi Tanha Hai
Tanhaiyon Ke Bagair
Ya Tanhai Tanha Hai
Zindagi Ke Bagair

Kya Dono Ek Dooje Ko
Paakar Bhi
Tanha Rehte Hain...
Ya Dono Ko Jaise
Nayi Zindagi Mil Jaati Hai

Tanhaiyon Ke Aalam Mein
Jeene Ki Khwaaish Lekar
Zinda Rehne Ke
Jaddo-Jehat Mein...
Na Tanhai Zindagi Ka
Saath Chhodti Hai
Aur Na Zindagi
Tanhai Ko
Tanha Jeene Deti Hai

Dono Ka Rishta
Umr Bhar Ka Hota Hai
Jaise Ek Gath-Bandhan Mein
Bandhey Ho Dono -
Tanha Zindagi
Aur Zinda Tanhai

Dono Hee Jeene Ki Aas Liye
Saath Hokar Bhi Jaise
Tanha Zindagi Basar Karte Hain

Maut Ke Is Paar
Intezaar Karte Hain...
Maut Ke
Us Paar Ka -


The above write-up is more of a Prose than a Poem on the Theme of Tanhai as Solitude Vis-a-Vis Tanhai as Loneliness and I've used it here in both the contexts.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success