Tammna Poem by deepika pal

Tammna

hai yeh guzarish khuda se
ya tammna ya khwaish dil ki
hai voh jo shaamil meri har dua mein,
ki ho jaye voh shaamil meri zindagi mein,
bepannah mohabbat hai us se
yeh jante hue bhi ki
nahi milungi meh kabhi us shakh se,
mazburi ki isse battar halaat kya hogi
ki hai use bhi mohabbat mujhse
utni hee jitni hai mujhe usse,
kismat ki isse badi phele kya hogi
ki mila kar dee kushi
ek pal mein zindagi bhar ki,
aur pal mein zuda kiya
tamaam umr ke liye,
sirf ab yahi fariyaad haiu
ho jaye vo mera tammam umr ke liye,
beshak uske baad mehmaan rahu mein
is jahaan mein kuch waqt ke liye,
pata nahi aisa kya hai usme khaas
uska naam juda hai meri ruh ke saath.

COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 28 January 2018

Bahut khoob, deepika. You may like to read my poem, Love And Lust. Thank you.

0 0 Reply
Sumita Datta 14 September 2008

Very clear n honest expression Deepika... really liked this writing.. :)

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success