Swayamnaashi Poem by Tribhawan Kaul

Swayamnaashi

Rating: 5.0


स्वयंनाशी
- - - - - -
शिव तांडव का रूप नया यह
प्राकृतिक आपदा का सवरूप नया यह
तबाही का मंज़र, कुदरती कहर है
मानवी भूलों का प्रतिशोध नया यह.

मोसमी बारिश भला ऐसी रोद्र कहाँ थी
बाढ़ भूस्खलन जैसी त्रासदी कहाँ थी
मृतकों की संख्या हताहतों से जब अधिक हो
केदारनाथ, गौरीकुंड की ऐसी दास्ताँ कहाँ थी.

खंजर सीने में खुद भोंक चुके हैं
जंगलों को कंक्रीट बना चुके हैं
भू-ताप वृद्धि के कारण भी हम हैं
इस ताप में अब झुलस चुके हैं

व्यापारिक कारण जब प्रधान हो जाएँ
अतिक्रमणों का सामान हो जाये
पर्यावरण की जब करते हम हत्या
इसके श्राप से कैसे बच पायें.

ईश्वर को अब दोष क्या देना
जो बोया है वही काटना
संभलो संभालो अब भी समय है
दशक उपरांत यह तो तय है
बलिवेदी पर तब देश यह होगा
माँ प्रकर्ति का आरोप यह होगा
जिसको जनम दिया था मैंने
उसका ही संहार किया है
अब मुझसे क्या आशा रखते
खुद तुमने अपना नाश किया है
खुद तुमने अपना नाश किया है.
- - - - - - - - - - - - - - - - -
सर्वाधिकार सुरिक्षित/ त्रिभवन कॉल
Swyamnaashi
- - - - - - - - - - -

shiv tandav ki roop naya yeh
prakritik aapda ka sawroop naya yeh
tabhahi ka manzar, kudrati kahar hai
Maanvi bhoolon ka pratishodh naya yeh.

mousamibarish bhala aise rodhr kanhan thi
baad, bhoosakhlan jaise trasdi kanhan thi
mritiko ki sankhya hatahaton s jab adhik ho
Kedarnath, Gaurikund ki aise dastaan kanhan thi.

khanjar seena mein khud bhonk chuke hain
junglon ko kankreet bana chuke hain
bhoo-taap vridi ke karan bhi him hain
Is taap mein ab, sab zulas chuke hain

vyaparik kaaran jab pradhan ho jayen
atikramno ka saaman ho jaye
paryavaran ki jab karte hum hatya
iske shrap se kaise bach payen.

ishwar ko ab dosh kya dena
jo boya hai vhi katna
sambhlo sambhalo, ab bhi samay hai
dashk uprant yeh to tay hai
balivedi par tab desh yeh hoga
maa prakati ka aarop yeh hoga
jisko janam diya tha maine
usks hee sanhaar kiya hai
ab mujhse kya aasha rakhte
khud tumne apna naash kiya hai
Khud tumne apna naash kiya hai
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -
sarvadhikar surakshit/tribhawan kaul

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Written in the wake of flooding of Kedarnath shrine in India.
COMMENTS OF THE POEM
Ramesh Rai 09 July 2013

bahut sundar. yeh tandav nritya nahi to aur kya hai

0 0 Reply
Shahzia Batool 22 June 2013

Though the poem has a strong base as its context, but some of the lines are universal and above any context: ishwar ko ab dosh kya dena jo boya hai vhi katna sambhlo sambhalo, ab bhi samay hai........ day to day happenings affect you, one can see that you wish to carry and convey your msg in both the scripts of your language...the poem sounds like an alert!

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Tribhawan Kaul

Tribhawan Kaul

Srinagar (J & K) India
Close
Error Success