Soach In Main Aalag Hai Poem by Sumit Ojha

Soach In Main Aalag Hai

Samaye or zindagi kabhi rukti nahi
Par in main haqikat bohat si hai
Logo ki vichar bhale he alag ho
Par unki soach kam bhi nahi
Hum hai to bohat kuch hai
Par sach jo hai wo galat nahi
Jamane main to kaha bhi bohat kuch
Par hum ab unki suntey nahi
Jaha bhi apna sapna bhi sacha
Par unki sachai kuch alag hai
Jannat or jannaze main farq to hai
Par khuda ki ye dastan galat to nahi
Aaj na ruk jao yaha par tum
Quki aage badhane main he sachai hai
Chota or bada ye hua hoga hota rahega
Par insaniyat kabhi badlegi nahi
Abhi to der hui kaha hai
Par jaldi main bhi maza nahi
Ruq jaye agar raste kahi to darna mat
Quki rasta har kisi ke alag hai

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success