Shikshak Hamesha Yahi Sikhate By Deepak Kumar Deep Poem by Deepak Kumar deep

Shikshak Hamesha Yahi Sikhate By Deepak Kumar Deep

jeevan ki aadharshila
hoti guru ke hathon me
unke vachno ko apnalo
Raaz hai unki baton me

mata, pita aur guru hi
sacche mitra hote hain
inka aadar jo na karte
wo jeevan baji khote hain

Galti par shikashak jab mare
bura kabhi na mano
wo chahe tum bano medhavi
bas achha banne ki thano

Shikshak hamesha yahi sikhate
Mehnat se har ek kaam karo
muskil kuch bhi nahi duniya me
Pad likh kar sabka naam karo

Chahe jis mukam par jao pahunch
Apne teacher ko na jana bhool
banegi Inse hi kismat ki rekha
Bas bankar rahna charno ki dhool

'deep' naman hai aise teacher ko
Bhagya hamara Jinhone sawara
unki badaulat hain aaj kuch hum
aur hum jee rahe jeevan nyara

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Respect Teacher by Deepak kumar deep
-


Written By

Deepak kumar 'deep'
05.09.2012
Editor
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success