Shayari Jhoot Ka Palanda He (Urdu) Poem by mazHur Butt

Shayari Jhoot Ka Palanda He (Urdu)

Rating: 4.5

Dono hathoan mein thaamay betha hoon
apna sar ke he dard se bhaari
Kia karoon sar jo apna na phoroon
ishq ne poori mat he maari
dil mein bhi dard utra tha pehle
mustaqil ho gayee he bimaari.
dard e sar dard e dil jigar afghaar
zindagi apni dard kee maari
khoob hans lo ke din tumhare hein
kabhi tu aaye gee meri baari.
chakhnay ka tu faqat bahana tha
pee gaya sheikh baatli saari.
dasht e ulfat mein ja ke bhi dekha
koi ghamkhaar tha na dildaari
saanp das leta aur mar jaatay
ishq mein marna bhi hua bhaari
soch lo raasta sehl nahi he
rah e ulfat mein he faqat khwaari
khwaab mein tum ko dekha saari raat
hai aashiq kee neend o baydaari.
shayari jhoot ka palanda he
hay ye alfaaz kee chamatkaari.
vasl kee aarzoo mein jeetay hein
aur judaee bhi he hamein piyaari.

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Urdu Humor
COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 23 August 2016

khwaab mein tum ko dekha saari raat hai aashiq kee neend o baydaari. shayari jhoot ka palanda he hay ye alfaaz kee chamatkaari. bahuth khoob...bahuth khoob..kia kahney hain..

0 0 Reply
M Asim Nehal 06 October 2015

Kya kahen padh kar laga ki kyun lag gayi ye bimari, Akele achche thy ab zindagi ho gayi aazari..........................Wah Wah kya umda nazm hai.....Maza aa gaya

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success