Saugaat (Hindi) Poem by Anish Chouhan

Saugaat (Hindi)

Humko apni nazaron main,
Yon piroya na karo,
Door ho kar bhi iss kadar,
Hume nigroya na karo,
Kabhi bhule se kahin jikra na ho jaye,
Tumhari baaton ka bhari mehefil me,
Yon apne pyaar me iss kadar,
Hame bhigoya na karo.

Iss kadar khoob hai vo saadgi
Tum iss tarah ghayal na karo,
Hume to aaj bhi bhaati hai vo adayen,
Bus tum yaad aa ke yon rulaya na karo,
Jab bhi milte hai kabhi fursat ke do lamhe,
Tum iss tarah unpe chaa jaya na karo,
Dil ne pal pal mehesoos hai ek kaami tumhari,
Aa ke paas iss kadar door jaya na karo.

Chahat me fir tum iss kadar,
Ek ajab se kasak jagaya na karo,
Tum se milne ki aas ko,
Iss kadar bhadkaya na karo,
Jeete to hai shaan se,
Tum mohobat ki nadiya bahaya na karo,
Kabhi tapti dhoop me fir,
Yon apni chaya phailaya na karo.

Na koi sahil saath hai,
Na koi manjeel paas hai,
Haaton me hamare bus tumhara hi haat hai,
Fir bhi nikal pada hoon akele,
Tumhari yaadon ko Apni palko pe liye,
Shayad jiski talash thi,
Vohi saathi hai vohi manjeel hai,
Pehele pehele pyaar ki ye peheli saugaat hai.

COMMENTS OF THE POEM
Geetha Jayakumar 06 February 2014

Pyaar ki ye peheli Saugaat hai ya Pyaar ki yeh pehli baarish hai jisne sabko iss phavvara mein jakad diya Vakaye mein aapki yeh kavita Bemisal hai....Mind blowing poem...I loved it.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success