Sapney Poem by Srishti Shrivastava

Sapney



In sapnon ki udaan to dekho,
chute hain ye jahaan ko,
panchi bhi jahan pahunch naa paye,
paate hain us mukaam ko...

in sapnon ka kya kahna,
ye hain man ke rang-tarang ki chaya..
khayalon k moti chun-chun kar,
banti hai khwabon ki maala...

aasha aur ummeed par dekho,
in sapnon ke prakash jale hain,
manushya k maanas ko dekho,
kaise ye ujjwal karte hain..

ye sapnein hain,
vayu c chanchal,
jahan chale urd jaate hain,
puri duniya apni kar lenge,
pank yun ye failatein hain........

COMMENTS OF THE POEM
Lekharaj Pawar 27 August 2008

Dear Sirshti, Your way to express is fascinating...I liked all your poems...Hindi poems are great...keeo it up...

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success