Sandal/Sona Poem by sona sharma

Sandal/Sona

SANDAL

Sandal voh shama hai jo apne dono sire jalati hai
ek taraf se roshni karti hai us taraf se khud ko jalati hai
ek taraf toh mehfil sajati hai us taraf khud ko hi tanha paati hai
ek taraf doston ki chaheti hai, us taraf khoyi si hi rehti hai
ek taraf hansi failati hai us taraf khud udas ho jaati hai
ek taraf se khushian baantati hai us taraf hijar ko palti hai.
Ek taraf sab ki apni hai, dusri taraf parayi si lagti hai
Sandal voh shaman hai jo apne dono sire jalati hai

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success