Sab Kuch Tumahara Hai Sanam Poem by Shrini Deewana

Sab Kuch Tumahara Hai Sanam



Mera gussa mera muskaan sab kuch tumahara hai sanam,
Mere shareer mein hai jo jaan woh jaan bhi tumahara hai sanam,
Ek pal ke liye bhi na sochenge sanam hum kabhi,
Agar tum keha do jaan mujhe apni jaan de do abhi.

Chalti hai har ek saanse bas teri hi yaadon mein sanam,
Khoye khoye hum rehate hai bas tere hi khayalon mein sanam,
Jis pal bhi tum nahin hoti nazar ke saamne meri,
Lagta hai jaise duniya se ruta hua hai suraj abhi.

Darta hoon kahin tumhare jaate hi rukh na jaaya mere saanse oh sanam,
Tumse hi hoti hai subah tumse hi aati hai raatein oh mere sanam,
Apne jeevan ko bhi mein likh chuka hoon ab tere naam mere sanam,
Tumse to karta hoon mein apne jaan se bhi zyaada pyaar mere sanam.

Mein suraj aur chaand ko to na jaanoon par tujhko
jaanoon mein oh mere sanam,
Log kehate hai ke suraj ke aane se hi hoti hai subah,
Par mere zindagi ke suraj aur chand dono
tum hi ho meri dilruba.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success