Saath Tera Nibhayenge Poem by Shrini Deewana

Saath Tera Nibhayenge

Palkon mein apne sapnay,
Aankhon mein saya sajaye hai,
Ab door kaise jaayenge hum,
Saath tera hi nibhayenge,

Aie mere dil ki dharkan,
Tu hi mere rag rag mei samaye hai,
Dil ki duniya basaye hai,
Chodh ke jaayenge kaise,
Saath tera hi nibhayenge,

Tere hi aankhon ka noor hoon,
Teri hi teer se ghayal hai hum,
Tere hi pyar ka shikar hoon,
Saath tera hi nibhayenge,

Pyar tere dil se hi karte hai sanam,
Rishta bhi jhutey wadon se nahin,
Pyar aur khushiya se saji hai naav,
Jise doobne nahin denge sanam,
Saath tera hi nibhayenge,

Maana kuch hum dono ki majbooriyan bhi hai,
Tum khusbhoo ban chuke hai mere saanson mein,
Aur base rahenge aakhri dam tak,
Saath tera hi nibhayenge,

Ab to tere hi kadmon par tera saya banker,
Tera sang hi rehana hai humein,
Saath tere hi nibhate aa rahe hai aur,
Saath nibhate rahenge har janam.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success