Rangon Ki Barkha Poem by Akhtar Jawad

Rangon Ki Barkha

Rating: 5.0

Rangon ki barkha mein gori chali aaj karne yeh kaisa nahan,
Panchi bhi ban mein chahakne lage kisne chedi yeh murli ki tan,
Bele ke phoolon pe chidka yeh kisne mehekta hua ek gulal,
Juhi ki kaliyon pe dekho yeh lali chalo choom lein aaj champa ke gal,
Kahan so rahi hay meri rat rani utha kar koi usko lao yehan,
Jahan aaj barsi hay madira gulabi jahan aaj dharti hui aasman,
Jidhar bhi main jaoon jidhar bhi main dekhoon dhanak hi dhanak hay,
Kisi ki kalai ne jadoo kiya hay hawaon mein dekho khanak hi khanak hay,
Wuh kal rat to thi mere sath ban mein magar din mein thak kar kahin so gai hay,
Chalo dhoondhte hayn use aaj ban mein yeh gori na jane kahan kho gai hay,
Wuh sooraj mukhi hay wuh chup na sake gi ke sooraj to uska chamakta idhar hay,
Ghumaya jab apna yeh mukh rootha rootha wuh chillaya dekho udhar hay udhar hay,
Meri bansuri leja maiya chupa de utha de yeh pitchkari rangon se bhar de,
Bana doon main gori ko satranga badal jo dharti ko meri umangon se bhar de.

Sunday, March 1, 2015
Topic(s) of this poem: color
COMMENTS OF THE POEM
Ajay Kumar Adarsh 22 August 2016

bahut khoob..........................10++

0 0 Reply
Sarmad Mirza 03 March 2015

Such a lovely poem which really touches my heart

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 01 March 2015

Ek khoobsoorat geet jo dil mein utar geya.................10

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 01 March 2015

Ek khoobsoorat geet jo dil mein utar geya.................10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success