Ram Ki Khoj.. Poem by Vibhor K Bhardwaj

Ram Ki Khoj..



Khojne chala hu aaj main ram ko.
mandir bana k dikhaoga musalmaan ko.
ye soch kar utha li tulsi ki rachna.
janna tha aakhir kyu hoti h ram ki archana.
baal-kand se krishkanda-kand tak.
sundar-kand se uttara-kand tak.
vaikund se avadh tak.
avadh se lanka tak.
aur khoja to kai nayi kahani mili.
khuch suni to khuch unsuni mili.
kaise bana putr ram satrupa-manu ka.
kaise bana vanar saathi manu ka.
kaise bana pratapbhanu ravan.
aur kyu hua bhedi vibhisan.
sab khuch jaise khuch keh raha ho.
ram ke ramraaj me jaise paap ho raha ho.
Sita mon hokar jameen me dasi ja rahi h.
meri khoj kitabo se aage chali ja rahi h.
jo khoj musalmano k liye thi.
laakh jaane lekar mandir bannane k liye thi.
ab wo mujshe hi sawaal phuchti ja rahi h.
mujhe ram k kareeb leti ja rahi h.
ab khuch mulmano ko nahi dikhana h.
ab apno ko sach batana h.
jis ram ko hum mandir me dekhte the,
wo to bahar baitha subri k jhoote ber kha raha h.
jis ram ko hum patthar ki murat me dekhte the,
wo unhi pattharo ko ahilaya bana raha h.
sach kahu to ram har ek se sawaal kar raha h.
lanka jeet apno se haar kar keh raha h.
k arthi k alawa kya mera naam satye nahi hota?
kyu tera raaj ram-raaj nahi hota?
tu bata mujhe kyu laasho p mandir bana raha h?
aakhir mujhe chood tu kyu pattharo p mara ja raha h?
agar yehi sab karna h to mera naam lena chood de.
tu apne dard me mujhe pukarna chood de.
ye sab jo ram k sawaal the.
apne janam p pachtaate ek naam k sawaal the.
khabi krishn to khabi ram ki janambhoomi.
keh rahi h humse ye humari janambhoomi.
mat karo rakt-ranjit mere shareer ko.
jaga lo waqt rehte apne jameer ko.
varna fir koi ram janam lene p pachtaata reh jayega.
aur tu muslmano ko sirf dikhata reh jayega.....

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Vibhor K Bhardwaj

Vibhor K Bhardwaj

Bijnor, Uttar Pradesh, India
Close
Error Success