Raat Ke Andhere Me Poem by Aftab Alam

Raat Ke Andhere Me

Rating: 5.0


Raat ke andhere me, aansuon ki qimat kya hai,
Kirno se bhi to shabnam dhoye jaate hain,
Khwaab dekhna koii badi baat nahi, leqin,
Haqiqaton ke pankh se parwaaz kiye jaate hain,

Ye zameen pahle bhi gol thi, aaj bhi gol hai,
Pahle Imaan mukammal thi, aaj dawan-dol hai,
Jidhar deklhiye alfazon me harf udaye jaate hain,
Jumle bhi is tarah ab banaye jaate hain,

Chand lamhon ki zindagi, rubber ki choti taar si,
Khinch-khinch kar ise lambi banaai jaati hai,
Aur ulfat ka janaja aise bhi nikalta hai,
Rahon me aashiq ke ab khaddhe khudaye jaate hain,

Imaan ka paimaana kahin ye pet to nahin,
Juban ko aanton se bandh khwaab dikhaye jaate hain,

Wednesday, August 27, 2014
Topic(s) of this poem: social
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success