Raahon Ke Kaantein Poem by Shrini Deewana

Raahon Ke Kaantein

Na jaane sanam kyon tujhse aise mohabbat mein kar baitha,
Ke tere bin ab har ek pal bhi mujhko lagti hai jaise ho ek sazaa,
Jaanta hoon milan apna namumkin hai magar
Phir bhi tere liye hi tadapta rehata hai dil mera.

Tum hi keha do apne dil ke tadap ko mein mitaoon kaise,
Lagi hai jo aag mere tan man mein use bhujaoon kaise,
Keha do agar hai koi illaaz mere dil ka oh mere sanam,
Waqt bewaqt is dil ki tadap ab mujhse nahin saha jaata hai sanam.

Tum to aayee ho banke bahaar mere suni jeevan mein,
Suni jeevan ban gayee hai gulshan tere kadmon ke choone se,
Is gulshan ko bas gulshan hi bane rehane do ai humsafar mere,
Kahin beech mein chodkar is gulshan ko tum veerana na bana dena.

Saath tera umar bhar dene ka waada karta hai aaj “Deewana”,
Chahe badha koi bhi aaye raah mein use thodkar mein rakh doonga,
Bas agar saath tera sanam mile zindagi bhar mujhko,
Raahon se har kaante ko hata dega tera “Deewana”.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success