Pyaar Kaa Ye Jahaan, Nafraton Me Kho Diye, Poem by Aftab Alam

Pyaar Kaa Ye Jahaan, Nafraton Me Kho Diye,

Rating: 5.0

Jal rahen hain diye naa jaane kisliye,
Pyaar kaa ye jahaan, nafraton me kho diye,

Muskuraa ke dekh lo, hai roshanii hi roshanii
Chaand ke aaghosh me hai chandanii hi chandaanii
Aag hi aag hai ghar jalaa kyon diye,
Aa gale ham mile, bas pyaar hi pyaar liye,
Jal rahen hain diye naa jaane kisliye,
Pyaar kaa ye jahaan, nafraton me kho diye,

Ishq hi bahaar hai khijaan me kyon ro rahe
Satrangi jahaan me, na jaane hamkyon so rahe
Jaago-jaago, titliyon ke rang liye
Phoolon ki khushbu liye, aao ji bhar ham jiye,
Jal rahen hain diye naa jaane kisliye,
Pyaar kaa ye jahaan, nafraton me kho diye,

Friday, July 11, 2014
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success