Prem Poem by ramesh rai

Prem

Prem!

yeh ek shabd hai
iski paribhasha kya hai
nahi malum

Prem!
kya satya hai
nahi
yeh diwaswapna hai
prem
aashkti hai
nirbal banata hai
chahe jitne badi ho shakti

Prem!
ek shakti hi
prasphutit karta hai
chattan mein bhi

prem ek prawah hai
baha deta hai
himalaya ko bhi


prem ek maya hai
prem ek makari ka jaal hai
prem jab tak hai
tab tak yeh sansaar hai
prem andha hai
prem bahara hai
iske aankh nahi hote
iske kaan nahi hote

Prem ek upasna hai
yeh kabhi sweekar nahi karta
kisi ki balidaan ko

Prem tiraskar hai
ruth jaata hai
prem vandana hai
sabhi rat te hai isi ka naam

Prem ek khumaar hai
kabhi nahi khatma hota
iski khumari

Prem! Prem! Prem!
yeh kiski rachna hai
iski sanrachna kya hai
koi nahi jaanta

prem madhurya hai
prem ghrina hai
prem tusti hai
prem lipsa hai

Prem patibha hai
nikharta hai premiyon ke dil mein

prem ufan hai
prem shashwat hai
prem parbhasha se pare hai

prem hai bas
satyam, shivam aur sundaram bhi

Prem paripurna hai
solah kalaon se

prem bas ek kalpna hai
prem jyoti hai

prem, surya ke praksh mein
prem, chandrama ki chandani mein
prem, samudra ke jwar mein
sangeet ke sapta swar mein
prem, nupur dhwani hai
prem, mahmohini hai

Prem, Om hai
vilin hai pure brahmand mein
prem, sarvada vartmaan hai
nahi iska koi bhoot hai
nahi iska koi bhavishya

Pranay mein, viyog mein
ghrina mein, vishad main
sabhi to prem ka roop hai

yuddh mein, shanti mein
har taraf bas prem hai

prem kabhi nahi
samapta hone wale ek sangeet hai

prem jivan ka lay hai
taal hai, sur hai, chhand hai
prem, suravi mein
bikhra hua roop hai.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success