Prakriti Poem by ramesh rai

Prakriti



Prasav vedna se pidit
akul byakul byathit animesh
chir nirantar nayee srishti se vashibhut
aviral gati se pravahit parimesh
akhand jyoti ki aviral punj
udar mein vibhasit hai asesh
sapt sindhu ki amrit dhara
se plawit hai uski vaksha
aghosh hai yeh aviral kanti
neet nayee asha se paripurna
sancharit hoti hai jiske raj se
anant srishti ki mayabhut

Tatwa jahan se hoti hai nirmit
phir vilay hoti hai tatwa mein
anant atma ki srishti hoti hai
phir akar hoti hai sesh.

Tuesday, November 25, 2014
Topic(s) of this poem: humour
COMMENTS OF THE POEM
Salini Nair 26 November 2014

Tatwa jahan se hoti hai nirmit phir vilay hoti hai tatwa mein anant atma ki srishti hoti hai phir akar hoti hai sesh.............................great lines ....awesome work

0 0 Reply
Aftab Alam Khursheed 25 November 2014

Prasav vedna se pidit lifted nicely (Labor pain) and the elaboration so beautiful thank you

1 0 Reply
Douglas Scotney 25 November 2014

have you got one of those in English, Ramesh?

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success